Har ek baat pe kehte ho lyrics - Abida Parveen | Mirza Ghalib Ghazal

"Har ek baat pe kehte ho lyrics"

Singer:Abida Parveen
Lyrics by: Mirza Ghalib


Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi  Kaho Ke Ye Andaaz-E-Guftgu Kya Hai

Na shole mein ye karishma na barq mein ye adaa
Koi batao ki vo shokh-e-tund-Khu kya hai

Ye rashk hai ki vo hota hai hamsukhan hamse
Vagarnaa Khauf-e-bad_amozi-e-adu kya hai

Chipak raha hai badan par lahu se pairahan
Hamari jeb ko an ab hajat-e-rafu kya hai

Jalaa hia jism jahaan dil bhi jal gaya hoga
Kuredte ho jo ab raakh joostajuu kya hai

Ragon mein daudte phirane ke hum nahin qaayal
Jab aankh hi se na Tapaka to phir lahoo kya hai

Vo cheez jiske liye humko ho bahisht aziz
Sivaa_e bada-e-gulfaam-e-mushkabuu kya hai


Piyun sharab agar Khum bhi dekh loon do char
Ye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subuu kya hai

Rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi
To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai

Bana hai shah ka musahib, phire hai itarata aa
Vagarna shahar mein “Ghalib” ki abaruu kya hai

  

No comments: